Posts

I don't want to fight anymore

Image
Mujhe nahi ladna usse jiska khud ka nahi koi wajood Kya bole wo kya kar jaaye Hum toh unko samjh na paaye..  Achha achha karte karte,  Ulti Ganga wo bahaye Suna hai humne logon se ki Pyar bhut hi mushkil hai Nibha sako toh hi ye karna. Aag ka dariya hai ye Sahab,  Doobna isme padd jayega warna.. Khada nahi jo ho sakta hai,  Ishq mein mashuqa ke sath Puri umar dukhon mein nikalegi Aansu hi aayenge hath..  Khud toh seh loge tum dard ko Par mashuqa naa seh payegi Kho doge tum pyar apna Gamm ki baarish aayegi  Nahi samjh sake jo tum apne ishq ko,  Kya samjhoge Duniya ki ranjish aur rabb ke khel ko?  Aasmaan bhi rota hai jab  Dard-e-saaf dil tadapta hai Kbhi yhan toh kbhi wahan par Har pal mann Batakta hai Utha sako toh kadam uthao Maafi na maango humse  Dila sako toh haq dilao Jeeto tum apne damm se....  Rokar ye zindagi nahi chalti Khushiya chahiye jeene ...

Swapan bhari Duniya

Image
Swapan bhari Duniya.... Ek Swapanil naam ka ladka tha jo ki ek ladki ko pyar toh karta tha par usko kabhi samjh na saka. Ladki bhut hi suljhi hui thi aur aksar wo baatein karti thi jo asal zindagi mein mumkin hai. Wo bhi sapne dekhti thi aur uske bhi armaan bhut bade the par wo kabhi kuch aesa nahi karti thi jisse kisi ka dil dukhe. Wo ladki jo ki Swapanil ke pyar mein aakar apna sab kuch bhula kar uske pyar mein deewani ho gayi thi itna bhi na jaan paati ki usko kya karna chahiye. Uske liye kya sahi hai aur kya galat. Ladki achi padhi likhi thi lekin fir bhi naukri se vanchit thi. Abhi tak uski aesi naukri nahi lagi thi jisme uski kabliyat ko saraha jaye aur usko aage bhadne ka raasta nazar aaye. Uske grah chakkar kharab chal rahe the. Koi bhi yog thek nahi tha uske liye.  Na naukri ka,  na vivaah ka aur na hi kisi ki sahayata karne ke baad shabaashi milne ka. Uski kismat mein maano koi rukaawat likhi thi jo uske sabhi karya bigaad rahi thi. Wo lakh k...

Ek swaal

Image
Ladki ko bhejne ka niyam kisne banaya? Ladki ke janam par khushiya aana Laxmi mata sa sammaan uska karna Pyar se paal kar padhayi karana Uske saare nakhre uthana Uski har zidd bhugtana Palkon par baitha kar sansaar ghumana Maa ka beti se koi kaam na karwana Papa ka chhip kar laad ladana Bhai ka behan ki raksha karna Chot lag jaane par sabhi gharwalon ka ghabra jana Muskurate hue saare kharch pugaana Beti se maa baap ka  apna dard chhipana Zidd puri na hone par ladki ka rooth jana Apna sab loota kar bhi uska sochna Ladki ke liye acha ladka dhundna Fir uski shadi karwana Shadi ke baad vidaayi par rona Aur na chah kar bhi ladki ko bhejna Mera swaal hai ki aakhir ye niyam kisne banaya? Ladka nahi samjh sakta jo ladki ka dard hai Maa ki chinta maa hi jane,  kab dhup aur kab sard hai Chali jaati ladki ghar chhod  Gharwalon se naata tod Naya ghar aur naye log Naam ke rishte rachte jo dhong Ladki waha bas roti r...

I love my Ego

Image
Title:  Swabhiman hai Bada mera Swabhiman hai bada mera Isko mat todo tum Todne ki sochi jo tumne Tut jayega mera mann Bikhar jaungi main dharti par Jaise hoti hai rait (sand) Jo mujhko jalaane ki sochi Aag mein daaloge tum ghee Shola bankar bhadak jaungi Par sehan na hoga apmaan ji Mere gusse se khud main hu darti Nhi rehta khud par kaabu Apne hi dukh mein aa jaate hai Gusse mein kaam galat jab ho jaate hai... Marna pasand h mujhko Swabhiman se na khelne dungi Jitna chahe koshish karlo Dabb kar nahi main jeeyungi Samjh nhi saki hai duniya Soshe toh sab karte hai Pyar mohabbat ishq jaise Bade shabdo ka istemal karte hai Dil ko thhes pahuchane se pehle Ek baar jo socha nhi karte Aese log kya samjhenge hume Kyunki wo pathhar h jo pighla nahi karte Unki khushiya to khushiya hai Humara dard hai fareb Humare Aansu jhoote jazbaat jhoote Aesa sochta hai har ek Nawab ban kar hukum chalaana toh hai logon Ki fitrat mein Par h...

Sale's Excitement

Image
Title: Excitement at the time of Sale Everyone loves shopping. But the excitement of Sales discounts has no match. Maximum girls use to do shopping in discount time. Everyone wants discount. Their target is to get best discounts on their chosen products . If they get required size in favourite articles then their level of happiness is just commendable . At those times, they tend to purchase more stuff in lesser expense. Even they buy more than they need. After buying items they realise about budgeting.  But there's a belief that brands put only those products on sale which are either rejected or not in much demand. This is not necessary that we always get good products while Sale. We should always check quality of product first. Some brands put their product on Sale to stock out old stuff and to fill their showroom with fresh arrivals. Their target is to deliver the products as per latest trend to their customers. But this is not applicable every time or ...

My Own Sweet Home

Image
'Mera ghar' Main bhi chahti hu apna khud Ka pyara Ghar Jisme hongi suwidhayein anek Aesa pyara Mera Ghar ek Jiski deewarein hongi sunder Mera bhi kamra hoga uske Ander Sajayegi jisko decorative items 3D Led with music play system Balcony jisme hogi baahar Jisse dekhungi cheezein hazaar Lenge maze usme din Raat Apne ghr ki toh nirali hogi baat Kiraaye dekar hue hai tang Atmosphere bhi kuch khas nhi laya rang Mann mein bhut si hai shankayein Ki Ghar k liye paise kha se laaye Modular kitchen or porsh area Drawing room n room mein almirah Dining room plus attached washroom Servants kare cleaning in every room Cook bnaaye acha khana Negativity Jha khud ho Jaye ravaana Khushiya hi khushiya ho mere Ghar mein Kami na ho koi paise ki Mile ghr aesa Shayad koi punya karam kiye ho humne Dil se nikalti hai aah dard wali Ab dur ho jaldi ye dukh ki Raat kaali Banega sapno wala ghr kab Sapne ho Jaye sakaar ab Kyunki main bhi chahti hu apna khud Ka pyara Ghar...

The Dreamy Girl

Image
Title : The Dreamy Girl Once there was a girl of 20 years,  named Anamika wanted to travel along with her partner and family in life's hard journey.  She had a lot of ambitions as same as other girls used to  have .  She belong to typical middle class family but her dreams were at top of the sky. She lived in family of 4 members comprising her parents and a younger brother. She completed her Masters in IT sector.  She used to spend her time in thinking about luxurious things. She easily get fascinated towards Royal, classy things and modern technology. Her goal was not decided.  She always put her own words at the priority. One day she got job opportunity to work in reputed organisation. She grabbed it quickly and joined the job. Anamika didn't find her satisfied with her work environment. There was a lot of work load on her.  Her boss always  used to scold her for no big reason. Her colleagues were quite big politicians who tried to ...