Posts

Showing posts from October, 2018

I don't want to fight anymore

Image
Mujhe nahi ladna usse jiska khud ka nahi koi wajood Kya bole wo kya kar jaaye Hum toh unko samjh na paaye..  Achha achha karte karte,  Ulti Ganga wo bahaye Suna hai humne logon se ki Pyar bhut hi mushkil hai Nibha sako toh hi ye karna. Aag ka dariya hai ye Sahab,  Doobna isme padd jayega warna.. Khada nahi jo ho sakta hai,  Ishq mein mashuqa ke sath Puri umar dukhon mein nikalegi Aansu hi aayenge hath..  Khud toh seh loge tum dard ko Par mashuqa naa seh payegi Kho doge tum pyar apna Gamm ki baarish aayegi  Nahi samjh sake jo tum apne ishq ko,  Kya samjhoge Duniya ki ranjish aur rabb ke khel ko?  Aasmaan bhi rota hai jab  Dard-e-saaf dil tadapta hai Kbhi yhan toh kbhi wahan par Har pal mann Batakta hai Utha sako toh kadam uthao Maafi na maango humse  Dila sako toh haq dilao Jeeto tum apne damm se....  Rokar ye zindagi nahi chalti Khushiya chahiye jeene ...

Swapan bhari Duniya

Image
Swapan bhari Duniya.... Ek Swapanil naam ka ladka tha jo ki ek ladki ko pyar toh karta tha par usko kabhi samjh na saka. Ladki bhut hi suljhi hui thi aur aksar wo baatein karti thi jo asal zindagi mein mumkin hai. Wo bhi sapne dekhti thi aur uske bhi armaan bhut bade the par wo kabhi kuch aesa nahi karti thi jisse kisi ka dil dukhe. Wo ladki jo ki Swapanil ke pyar mein aakar apna sab kuch bhula kar uske pyar mein deewani ho gayi thi itna bhi na jaan paati ki usko kya karna chahiye. Uske liye kya sahi hai aur kya galat. Ladki achi padhi likhi thi lekin fir bhi naukri se vanchit thi. Abhi tak uski aesi naukri nahi lagi thi jisme uski kabliyat ko saraha jaye aur usko aage bhadne ka raasta nazar aaye. Uske grah chakkar kharab chal rahe the. Koi bhi yog thek nahi tha uske liye.  Na naukri ka,  na vivaah ka aur na hi kisi ki sahayata karne ke baad shabaashi milne ka. Uski kismat mein maano koi rukaawat likhi thi jo uske sabhi karya bigaad rahi thi. Wo lakh k...