Ek swaal
Ladki ko bhejne ka niyam kisne banaya? Ladki ke janam par khushiya aana Laxmi mata sa sammaan uska karna Pyar se paal kar padhayi karana Uske saare nakhre uthana Uski har zidd bhugtana Palkon par baitha kar sansaar ghumana Maa ka beti se koi kaam na karwana Papa ka chhip kar laad ladana Bhai ka behan ki raksha karna Chot lag jaane par sabhi gharwalon ka ghabra jana Muskurate hue saare kharch pugaana Beti se maa baap ka apna dard chhipana Zidd puri na hone par ladki ka rooth jana Apna sab loota kar bhi uska sochna Ladki ke liye acha ladka dhundna Fir uski shadi karwana Shadi ke baad vidaayi par rona Aur na chah kar bhi ladki ko bhejna Mera swaal hai ki aakhir ye niyam kisne banaya? Ladka nahi samjh sakta jo ladki ka dard hai Maa ki chinta maa hi jane, kab dhup aur kab sard hai Chali jaati ladki ghar chhod Gharwalon se naata tod Naya ghar aur naye log Naam ke rishte rachte jo dhong Ladki waha bas roti r...