I love my Ego
Title: Swabhiman hai Bada mera
Swabhiman hai bada mera
Isko mat todo tum
Todne ki sochi jo tumne
Tut jayega mera mann
Bikhar jaungi main dharti par
Jaise hoti hai rait (sand)
Jo mujhko jalaane ki sochi
Aag mein daaloge tum ghee
Shola bankar bhadak jaungi
Par sehan na hoga apmaan ji
Aag mein daaloge tum ghee
Shola bankar bhadak jaungi
Par sehan na hoga apmaan ji
Mere gusse se khud main hu darti
Nhi rehta khud par kaabu
Apne hi dukh mein aa jaate hai
Gusse mein kaam galat jab ho jaate hai...
Nhi rehta khud par kaabu
Apne hi dukh mein aa jaate hai
Gusse mein kaam galat jab ho jaate hai...
Marna pasand h mujhko
Swabhiman se na khelne dungi
Jitna chahe koshish karlo
Dabb kar nahi main jeeyungi
Swabhiman se na khelne dungi
Jitna chahe koshish karlo
Dabb kar nahi main jeeyungi
Samjh nhi saki hai duniya
Soshe toh sab karte hai
Pyar mohabbat ishq jaise
Bade shabdo ka istemal karte hai
Soshe toh sab karte hai
Pyar mohabbat ishq jaise
Bade shabdo ka istemal karte hai
Dil ko thhes pahuchane se pehle
Ek baar jo socha nhi karte
Aese log kya samjhenge hume
Kyunki wo pathhar h jo pighla nahi karte
Ek baar jo socha nhi karte
Aese log kya samjhenge hume
Kyunki wo pathhar h jo pighla nahi karte
Unki khushiya to khushiya hai
Humara dard hai fareb
Humare Aansu jhoote jazbaat jhoote
Aesa sochta hai har ek
Humara dard hai fareb
Humare Aansu jhoote jazbaat jhoote
Aesa sochta hai har ek
Nawab ban kar hukum chalaana
toh hai logon Ki fitrat mein
Par hume apne hisab se chalana nahi kisi ke bhi bass mein
toh hai logon Ki fitrat mein
Par hume apne hisab se chalana nahi kisi ke bhi bass mein
Nafrat bhar kar dil mein ghumte hai log
Upar se karte dikhawe hai
Hume nahi chahiye aesa pyar
Jhoot se dil lgake toh bas zindagi bhar ke pachhtawe hai
Upar se karte dikhawe hai
Hume nahi chahiye aesa pyar
Jhoot se dil lgake toh bas zindagi bhar ke pachhtawe hai
Sunn nahi paati kisi ki chaar baatein
Na hi seh payungi atyachaar
Tabah ho jayega jo dukh dega mujhe
Hai mere dard-e-dil ki pukaar
Na hi seh payungi atyachaar
Tabah ho jayega jo dukh dega mujhe
Hai mere dard-e-dil ki pukaar
Hum nahi achhe toh dur raho humse
Nahi hoga tumko afsos
Ya fir Kaam mat karo aesa ki
Mera gussa uda de tumhare hosh
Nahi hoga tumko afsos
Ya fir Kaam mat karo aesa ki
Mera gussa uda de tumhare hosh
Akeli reh lungi
Anjaano ki bheed mein
Apno ke sath nahi rahungi
Zehreele teer chalaate hai jo dil mein
Anjaano ki bheed mein
Apno ke sath nahi rahungi
Zehreele teer chalaate hai jo dil mein
Nahi badlungi main khud ko
Na hi badlungi apna vyavhaar (Behaviour)
Main hi raja, main hi rani
Meri khud ki hai sarkaar
Na hi badlungi apna vyavhaar (Behaviour)
Main hi raja, main hi rani
Meri khud ki hai sarkaar
Chalna ho toh dhang se mere hisab se chalo
Nahi aani chahiye mujh par aanch
Fir mat kehna sawdhaan nahi kiya
Jab ho jaoge lahu luhaan
Nahi aani chahiye mujh par aanch
Fir mat kehna sawdhaan nahi kiya
Jab ho jaoge lahu luhaan
Na kabhi kisi ka kehna maana tha
Na kabhi maana hai
Na kabhi maanugi
Mere baare mein ye jaankari lena farz hai tera
Kyunki Swabhiman hai Bada mera.........
Na kabhi maana hai
Na kabhi maanugi
Mere baare mein ye jaankari lena farz hai tera
Kyunki Swabhiman hai Bada mera.........
Thank you and Regards
Do share your feedback in comments with your good name


Wow Yr awesome ππππππππ
ReplyDeleteWow Yr awesome ππππππππ
ReplyDeleteThank you π
Deleteππππ fabbyy Di ππππ
ReplyDelete